Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Imam Ali Zainul Abideen

 

Razi AllahTala Anhu

 

Aap ki wiladat ba saadt 15 Jamadi al-Awwal ya 15 Jamadi al Sani 38 Hijri ko hui. Aap ka ism e graami Ali bin al Hasan Razi AllahTala Anhu tha lekin aap Imam Ali Zainul Abideen Razi AllahTala Anhu ke naam se mashhoor hain, Imam Hussain Razi AllahTala Anhuke woh farzand they jo waqea Karbala mein zindah bach gaye they aur inhen qaidyoun ke qaafley aur shaheedon ke saron ke sath Dimashq le ja kar Yazid ke darbaar le jaya gaya tha .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Aap ki walida ka naam Shehar Bano tha jo Iran ke badshah Yazdgar soum ki beti theen jo Noshirwan Adil ka pota tha. Aap ke mashhoor alqab mein Zain al Abideen aur Syed Sajjad shaamil hain. Is waqt un ke dada Hazrat Ali Karam Allah Wajhu musalmanoon ke khalifa they. Aap ka naam aap ke dada ke naam par Ali rakha gaya jabkay kuniat Abu al Hasan aur Abu al Qasim rakhi gayi. Wiladat ke chand din baad aap ki walida ka intqaal ho gaya jis ke baad aap ki khaala Jehan Bano jo Muhammad bin abi Bakar ki zoja theen aur unhon ne Muhammad bin abi Bakar ke intqaal ke baad shadi nahi ki thi, unhon ne  aap ki parwarish ki.

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 Do saal ki umar mein aap ke dada Hazrat Ali ibn abi Taalib Razi AllahTala Anhu ko shaheed kar diya gaya .Aap ka zuhad o taqwa mashhoor tha. Wuzu ke waqt aap ka rang zard ho jata tha. Poocha gaya to farmaya ke mera tasawar e kaamil apne khaaliq o mabood ki taraf hota hai aur is ke jalalat o roab se meri yeh haalat ho jati hai. Namaz ki haalat yeh thi ke paon kharray rehne se sooj jatay aur peshani par ghatay parre hue they aur raat jaagne ki wajah se rang zard rehta tha. Allama ibn Talaha Shafi ke mutabiq namaz ke waqt aap ka jism larzah brandam hota tha. Sajdon ki kasrat se aap ka naam Syed aur Sajjad par gaya tha .

Allama ibn Hujar Makki Rahmatullah Alayh ne likha ke aik dafaa kisi shakhs ne aap ke samnay aap ki buraiee ki magar aap khamosh rahay to is shakhs ne kaha ke ae Ali bin al Hasan Razi AllahTala Anhu main  aap se mukhatib hon to aap ne farmaya ke mere Rasool Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ne farmaya hai ke jahilon ki baat ki parwa nah karo aur mein is par amal  kar raha hon. Aik shami ne Hazrat Ali karam allah wijhu ko aap ke samnay gaaliyan dein to aap ne farmaya ke ae shakhs to musafar maloom hota hai agar koi haajat hai to bata. Is par woh shakhs sakht sharminda ho kar chala gaya .

Aap ki shadi 57 Hijri mein aap ke chacha Hazrat Hasan bin Ali bin Abu Taalib ki beti Hazrat Fatima se hui. Aap ke gayarah larke aur chaar larkiyan peda huien. Jin mein se Hazrat Imam Muhammad Baqar Razi AllahTala Anhu aur Hazrat Zaid shaheed mashhoor hain .

Karbala ka haadsa 10 Muharam 61Hijri ba mutabq october 689 Eewsi ko paish aaya. 28 Rijb 60 Hijri ko aap apne waalid Hazrat Hussain ibn Ali Razi AllahTala Anhu  ke hamrah Madinah se Mecca aeye aur phir chaar mah baad 2 Muharam 61 Hijri ko Karbala aeye. Karbala anay ke baad aap intahi bemaar ho gaye yahan taq ke 10 Muharam ko ghashi ki haalat taari thi is liye is qabil nah they ke maidan mein ja kar darja shahadat par faiz hotay. 10 Muhram ki shaam ko tamam khaimon ko aag laga di gayi aur aap ko aap ki phophi Hazrat Zainab bint Ali Razi AllahTala Anhua ne sanbhala. 11 Muhram ko aap ko oont ke sath bandh kar aur lohay ki zanjeeroon mein jakar kar pehlay Koofa aur baad mein Dimashq rawana kya gaya. Tamam shohada ba shmole Imam Hussain Razi AllahTala Anhu ke sar nizon ki nokon par sath rawana kiye gie. Khandan e Risalat Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ka yeh qaafla 16 Rabiey al-Awwal 61 Hijri ko Dimashq pouncha aur  darbaar e Yazid mein rassiyon aur zanjeeroon mein bandha howa paish kya gaya. Aik saal ki qaid ke baad aap 8 Riba al-Awwal 62 Hijri ko Madinah wapas aeye aur tamam umar Khandan e  Risalat Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam  ki shahadat par giryaa kinaan rahay. Un ki behan aur Rasool Akram Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ki nawasi Hazrat Zainab Razi AllahTala Anha ke tamam baal safaid ho gaye they aur khud un ki haalat achi nah thi. Aap se jab poocha jata ke aap ko sab se ziyada museebat ka saamna kahan karna para to aap farmatay' al Sham al Sham al Sham' ( Dimashq ko al Sham kaha jata tha ). Aap ko is baat kis shadeed dukh tha ke aap ki behan aur Rasool Akram Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam  ki nawasi Hazrat Zainab Razi AllahTala Anha ko nangay sar Yazid jaisay fasik ke darbaar mein khara hona para ehley Madinah ne is ke baad Yazid ki baet toar di aur is ke khilaaf  baghaawat kar di .

Aap ke baaz khutbaat bohat mashhoor hain. Waqea Karbala ke baad koofa mein aap ne pehlay Khuda ki hamd o sana aur Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam  ke zikar o duroood ke baad kaha ke' ae logo jo mujhe pehchanta hai woh to pehchanta hai jo nahi pehchanta woh pehchan le ke mein Ali ibn al Hasan Razi AllahTala Anhu ibn Ali ibn abi Taalib hon. Mein is ka farzand hon jis ki be hurmati ki gayi jis ka samaan lout liya gaya. Jis ke ahal o ayal qaid kar diye gaye. Mein is ka farzand hon jisay sahil e Faraat par zibah kar diya gaya aur baghair kafan o dafan ke chore diya gaya. Aur shahadat e  Hussain hamaray fakhr ke liye kaafi hai .

Waqea Karbala ke baad dosra bara saneha Madinah par shami afwaj ki charhai thi jis mein inhen kamyabi haasil hui aur Madinah mein qatal e aam kya gaya. Yeh afsoos naak waqea 63 Hijri mein paish aaya aur waqea e Hura kehlata hai. Madinah walon ne Yazid ke khilaaf  baghaawat kar ke is ke governor ko moattal kar diya. Yazid ne Muslim bin Aqbah ko jo apni safaki ke liye mashhoor tha ehley e Madinah ki sarkobi ke liye rawana kya. Is ki bhaije hui afwaj ne das hazaar se zayed afraad ko shaheed kya. Khawateen ki be hurmati ki gayi aur teen din taq Masjid  e Nabwi mein namaz nah ho saki. Tamam logon se Yazid ki zabardasti baet li gayi aur jis ne inkaar kya is ka sar qalam kya gaya. Sirf do admion se baet talab karne ki jurrat nah ki gayi jo Hazrat Ali  bin al Hasan Razi AllahTala Anhu aur Hazrat Abdulah ibn Abbas Razi AllahTala Anhu they .

Is waqea ke waqt Marvan bin Haukum jo ehley e beet ka mashhoor dushman tha is ko khatrah mehsoos howa lekin is ko aur is ke ahal khanah ko kisi ne panah nah di magar woh aik koshish ke liye Hazrat Ali ibn al Hasan Razi AllahTala Anhu ke paas aaya aur panah talab ki to aap ne yeh khayaal kiye baghair ke is ne waqea Karbala ke silsilay mein khuli dushmani dikhayi thi usay aur is ke ahal khanah ko panah di aur is ke bachon ko apne bachon aur Hazrat Usmaan razi allah anho ki beti Ayesha ke hamrah' manba' ke maqam par bhaij diya aur mukammal hifazat ki. Muslim bin Aqbah jo is fouj ka salaar tha jis ne Madinah ko tabah o barbaad kya, is ne Khandan e Risalat ba shmole Hazrat Ali ibn al Hasan Razi AllahTala Anhu ki khoob khul kar buraiyan kee magar jab Hazrat Ali ibn al Hasan Razi AllahTala Anhu ka saamna howa to adab se khara ho gaya. Jab is se poocha gaya to is ne kaha ke mein ne qasdan aisa nahi kya balkay un ke roab o jalal ki wajah se majaburan aisa kya .

Marvan ibn Hakum ke marnay ke baad 65 Hijri mein Abdul Mulik bin Marvan takhat nasheen howa. Is ne Hajjaj  bin Yousuf ko Hijaz  ka governor bina diya kyunkay Hajjaj  ne Abdulah bin Zubair ko qatal kar ke Hijaz  par qabza kya tha. Hajjaj  ne Kaaba par sang baari ki thi aur usay tabah kar diya tha hatta ke is ki dobarah taamer ki zaroorat paish aayi. Is waqt Abdul Mulik bin Marvan ne Hajjaj  bin Yousuf ko hukum diya tha ke Hazrat Ali ibnHussain  ko girftar kar ke shaam pouncha diya jaye chunancha is ne inhen zanjeeroon se bandh kar Madinah se bahar aik khaima mein rakhwaya .

Allama ibn Hujar Makki ke mutabiq Abdul Mulik bin Marvan ko kuch logon ne samjhaya ke Hazrat Ali ibn Hussain Razi AllahTala Anhu  khilafat se koi gharz nahi rakhtay is liye inhen nah chera jaye. Abdul Mulik bin Marvan ne Hajjaj  ko paigham diya ke Bini Hashim ko satanay aur un ka khoon bahanay se parhaiz o ijtinab karo kyunkay Bani Umia ke aksar badshah inhen saata kar jald tabah ho gaye. Is ke baad inhen Hajjaj  ne chore diya aur Abdul Mulik bin Marvan ki zindagi mein ziyada tang nah kya gaya. Jab Hajjaj  ne Kaaba ko tabah kya aur is ki dobarah taamer hui to Hajr e Aswed ko nasb karne ka masla howa kyunkay jo koi bhi usay nasb karna chahta tha to Hajr e Aswed mutazalzal aur muztarib rehta aur apne maqam par nah tharta. Bil akhir Hazrat Ali ibn al Hasan Zain al Abideen Razi AllahTala Anhu ne usay bismillah parh kar nasb kya to bakhoobi nasb ho gaya .

Agarchay aap gosha nasheen they aur khilafat ki khwahish nah rakhtay they magar hukmraanon ko un ke rohani iqtidaar se bhi khatrah tha aur khauf tha ke kahin woh kharooj nah karen. Chunancha Waleed bin Abdul Mulik ne 95 Hijri mein aap ko zeher day diya aur aap 25 Muhram alhram 95 Hijri ba mtabq 714 Eewsi ko darja shahadat par faiz ho gaye. Aap ki tadfeen Jannat al Baqi mein ki gayi.